Khusaro Bagh Prayagraj

Aug 16, 2024 Blog

Khusaro Bagh Prayagraj

Khusaro Bagh Prayagraj: Kahan aur kab bana tha

Khusaro Bag Prayagraj, Uttar Pradesh ke Prayagraj jile me bana hua hai, iska nirmad 1607 me kiya gaya tha. Yah sabase badi diwar wala Garden hai jo 40 ekad me bana hua hai, yahan 3 bade Makbare bhi banaye gayein hain jo Bago se ghira hua hai.

Khusaro Bagh Prayagraj ka nirmad kisane karwaya tha

Khusaro Bag nirmad Akbar ke bete Jahangir Akbar ki mrityu ke bad sair karne ke liye banwaya tha, bad me usake bade bete Shahjada Khusaro mirza aur Patni Shah begum ko wahi dafnaya gaya tha beti sultan nishar begam ka Makbara  bhi banaya gaya tha lekin usko yahan dafnaya nahi gaya tha.

Jahangeer ke ghatiya Kartoot

Khusaro Baag jitna Khoobsurat hai, Utna hi ghatiya, is bagiya se jude Jahangir aur usake bete Khursaro Mirza ke Siyasat ki kahani hai. Darasal Jahangir ka baap Akbar ye nahi chahata tha ki Jahagir Raja bane kyoki usake andar Raja banane ke wo koi quality nahi tha jo Akbar usame dekhana chahata tha wo apne pote khusaro mirza ko Raja banana chahata tha, lekin Jahangir ko ye kattai manjoor nahi tha ki pita se bete ko rajgaddi mile. isi ko dekhate hue Jahangir ne Bagawat kar li aur usane Allahabad akar khud ko Raja ghosit kar diya,

Akabar ke marne ke bad wah puri tarah se Mughal Samrajya ka Raja ban gaya lekin usake bete Khusaro Mirza ko ye bat hazm nahi hui kyoki usake dada Akbar use Raja banana chahate the, Isliye usane bagawat kar di, Fir usake pita ar usame War hua aur Khusaro Mirza haar gaya. Fir usako andha karke Khusaro Bag me band kar diya gaya wahi usaki mout hui fir usaki Maa ke sath use bhi dafn kar diya gaya to yah tha Khusaro Bag ka kala Sach.

 

Thank You!

@Quick explain

@Visitor Sathi

Web developer- Anoop kumar

Contant Writer- Omkar hero

SHARE NOW

3 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *