Gate of India in Mumbai

Aug 26, 2024 Blog

India Gate Delhi

India Gate Delhi: India Gate New Delhi ke Kavyapath par sthit 42 Meter Height wala Monument hai jo Chaurahe ke beech me ek “Arch – D Trayamph” Jaisa twarit Dwar hai, British sena ke liye Sahid hue 74,187 Sainiko ki Yad me banaya gaya tha. Is Smarak par 1919 ke Afgan War me Uttar Pashchimi Seemant kshetra me shahid hue 13,516 British aur Indian Sainiko ke Name Diwaro par likhe gaye hai. Is smarak ki Neev 10 Feb 1921 Dyuk of Kanat dwara ki gayee thi, Admin lutiyan isake main Designer the. Isaka Udghatan 12 Feb 1931 ko Voysarai Lord Irwin ne ki thi.

Jab India Gate bankar taiyar hua, tab jeorge Pancham ki ek murti lagwa di gayee thi, jise Azadi ke bad Coronation Park me shift kar diya gaya. Ab jeorge Pancham ki murti ki jagah Prateek ke roop me kewal Chatari bas rah gayee hai. Lal pile Baluwa patharo se Bana yah Gate India ki Capital me apne aap me ek hai.

India Gate ka pura Mehrab Lal Bharatpur Patthar ke nichale adhar par khada hai aur charano me ek vishal Dhalai tak upar uthata hai. Kangani par Shahi Surya ankit hai jabki Mehrab dono Bharat likha hai, Jisake dono or MCMXIV (Left 1914) MCMCXIX (Right 1919) ki date likhi hai. India Sabd ke niche bade sabd me yah ankit hai.

Bharatiya sena ke un Shahido ko Shraddhaanjali jo France aur Flendars Mesopotami aur Faras, East Africa, Gaili Poli tatha sudur Purwa me anya jagah Shahid hue unka samman kiya jata hai.
Bharat ko Azadi milane ke bad isame ek aur smarak joda gaya Amar Jawan Jyoti nam se vikhyat hai jisaka nirmad 1971 me Bharat-Pakistan ke bech Yuddha ladane wale bahadur Sainiko ki yad ko smannit karne ki liye kiya gaya tha. Isaki Sthapana 26 Jan 172 ko ki gayee.

@Quick explain

@Visitior Sathi

Anoop kumar

SHARE NOW

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *