L B S N A A Full Form: Lal Bahadur Shastri National Academy of Administration ki sthapana 1st Sept Year 1959 me ki gayee thi. iska vichar 15 April 1958 ko tatkalin Union Home Minister Pt. Govind Ballabh Pant ne rakhi thi, Unhone ghosada kiya tha Yah Civil Servent ki training ke liye banaya jayega sabase pahle iska name National Academy of Administration (NAA) rakha gaya tha, 1972 me. Isaka name badalkar Lal Bahadur Shastri Administraion rakh diya gaya.
L B S N A A Full Form- Lal Bahadur Shastri National Academy of Administration Bharat ke Uttrakhand ke masuri ke pahadiyon me sthit hai, Yah 189 ekad me faila hua hai, Yahan Civil Servent ko Traing ke douran Kathin niyamo ka palan karna sikhaya jata hai, UPSC clear karne ke bad Candidate 2 Year ki Training ke liye LABSNAA aata hai.
Yahan LBSNAA me Bangladesh Bhutan Myanmar aur Maldiv ke Administrative Officer ki bhi Training hoti hai, Yahan IAS Officer ko every Month 56,100 ki Sallery di jati hai. Jisame se Hotel fee aur Mess ka kharcha bhi isi Sallery me se kat jata hai, Aprox 35,000 se 40,000 tak bachat mil jata hai.
LBSNAA me din ki starting Morning 6 se kar di jati hai aur isaki reporting time 5:55 pe hai, Agar koi late hota hai to use Punishment ke tour pe Ground ke Chakkar lagane hote hain. Agar baat Dress ki jaye to Men ko Full Sleeve Shirt aur Pants Shoes Neck me Tie aur face clean & Save hona chahiye. Class lete Time ye Dress code hona hi chahiye aur Women ko Saree Suit hi Allow hai, Mess me Khana khate samay bhi isi dress code ka palan karna padta hai aur 8 baje Apko Breakfast lena hota hai, Fir 9 baje se Evening 5 baje tak lagatar 7 se 8 Class hoti hain. Har Class 55 Minute ki hoti hai.
Weakend par Tracking ke liye jana hota hai, aur Bahut sari Activity karni hoti hai, Jaise Dancing, Singing, Playing etc. Activity karai jati taki Physically aur Mentoly majboot kiya ja sake, After 1 Month Alag-alag groups me divid kiya jata hai aur Himalaya par Tracking ke liye bheja jata hai aur Bahut sari Activity bhi karai jati hai,
Thank You!
Content Creater – Omkar Hero
Web developer – Anoop Kumar