major dhyan chandra

Aug 29, 2024 Blog

Major Dhyan Chandra

Major Dhyan Chandra: Hockey ke jadugar kahe jane wale Major Dhyan Chandra  ka janm Uttar Pradesh ke Allahabad District me hua tha. Inaka Janm 29 August 1905 me ek Kshatriya parivar me hua tha, Inake Janm din ko Bharat ke Rastirya Khel Diwas ke roop me manaya jata hai.

Ye Bharat aur World me Hockey ke Great Player me se ek the, ye 3 bar Gold Medol jeet chuke hai, Inaki mrityu 3 December 1979 ko 74 sal ki umra me Delhi me hui thi, Inaki Height 5 feet 7 Inch (170cm) 1921 se lekar 1956 tak inhone Bhartiya sena ke liye khela. Inhe Hockey ka jadugar bhi kaha jata hai, Inhone apne carrier me 1000 se bhi Goal kiya tha, Jab ye field me khelate the to mano inaki hockey stick me Ball chipak si jati thi.

Inhe 1956 me Padm Bhusan se bhi sammanit kiya gaya tha, Kai opposite teamo ne inake Hockey stick ka virodh bhi kiya, unka kehana tha ki Dhyan Chandra ki Hockey me kuch aisa hai, Jisase Ball inaki Hockey stick se chipak jati hai, Inaki Hockey stick ko tod kar bhi check kiya gaya tha.

Apko bata de ki ye train ki patari pe Ball aur stick ko lekar Practice kiya karte the, unke isi mehnat aur lagan ne unhe Hockey ka jadugar bana diya.

Dhyan Chandra ne Tatkalin British Bhartiya sena ke sath apnae karyakal ke douran Hockey khelana start kiya tha. 1922 aur 1926 ke beech unhone kai sena Hockey Turnament aur Rejimental khelo me bhage liya. Inake mitragan unhe “Chandra” kah kar bulaya karate the.

Major Dhyan Chandra ki padai idhar udhar ki hi thi, Class 6th tak unhone, Allahabad me hi pada lekin usake bad unake pita ke bar bar transfer hone ki wajah se unhe apni padai chodani padi ant me unka parivar Uttar Pradesh ke jhansi me jake bas gaya.

@Visitor Sathi

@Quick epxlain

Content Writer – Omkar Hero

Web Developer – Anoop Kumar

SHARE NOW

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *