Guys, Aaj hum is Article “Top 5 Visiting place in India” me janenge ki India me top 5 most visited place koun-koun se hai, jaha aapko ghumane jaroor jana chahiye. Agar ye Article aapko pasand aaye to please hame comment me feed back jaroor dijiye.
1. Taj Mahal (Agra)
Uttar Pradesh ke Agra me bana ye Taj Mahal India ke 7 ajoobe me Shamil India ka 1st Ajoba hai tatha ye puri dinaya bhar ke 7 ajoobo me bhi shamil 4th ajooba hai, Ise Shah Jahan ne apni bibi Mumtaz ki yaad me 1630 me banawaya tha.
2. Red Fort (Delhi)
Shah Jahan ne is aitihashik Lal Kila 1639 me banawaya tha, Isaki abhedya Lal baluwa pathhar ki diwaro se isaka naam “Lal Kila” pada. Yah “Kila-e-Mubarak” ya “Dhanya Kila ke nam se jana jata hai, Yah 2007 me UNESCO Vishwa dharohar sthal bana gaya.
3. Gayway of India (Mumbai)
Mumbai me bana yah Gateway of India bahut jyada popular hone wajah se ise “Mumbai ka Taj Mahal” kaha jata hai, Yah Monument year 1911 King Jeoge Pancham aur Queen Marry ki Bharat yatra ke douran inaki yad me Apollo bandar me banaya gaya.
4. Qutub Minar (Delhi)
Dilli ke pahle Sultan aur pahle muslim shashak Qutubuddin-e-bak ne year 1192 me is Qutub Minar ka Establishment karwaya tha, Jise 1368 me Firoj Shah Tuglak ne pura karwaya, Isaki height 72.5 meter aur yahan sabhi shilalekho se Sushajeet lal aur pile baluwa patthar se bana hai, Yah bhi UNESCO ki vishwa dharohar sthal hai.
5. Golden Temple (Amritsar)
Amritsar me Sthit yah Sward mandir Sikh dharm ka sabase pavitra sthal hai aur Guru Dwara hai, Ise Harimandir Sahib tatha Darbar sahib ke naam se bho jana hai, Temple ke upari hisse me year 750 KG Pure sona laga hai, Isaki neev Sikhh ke 4th Guru Ramdas ne aas-pass ke gaanv ki zammen kharidkar “Golden Temple” ki neev 1588 me rakhi gayee, 1604 me yah bankar taiyar hui.
Thank You!
Anoop Kumar – Web developer & Content Writer